Tumne dekha hai kabhi woh maasum si hansi??
Jo jindagi ke palon ko yaadgar banati hai
Kya tumne dekha hai kabhi woh maasum si hansi??
Jise dekhkar baharein bhi kihilkhilati hai
Un nahe nahne kadmom ko chalna sikhana
Apne bachon ke liye hazaron sapne sajana
Woh kahani ke bahane achi batein baytana..
Galti pe ankhe dikhakar phir chupke se muskurana..
Tumne dekha hai kabhi woh maasum si hansi??
Jo apne sote hue bache ko dekh maa ke chere pe sukun se ubhar aati hai
Kya tumne dekha hai kabhi woh maasum si hansi??
joh hame pyar ke riste ka mool samjhati hai
Apni to har baat tha use hi baatana
Jab woh tha to kitna aasaan tha muskilon se takrana
Juda rehkar bhi ek pal ke liye usse na bhulana
Yaad aata hai sabko apni dosti ka zamana.
Tumne dekha hai kabhi woh maasum si hansi??
Jo ek bichde hue dost ke miljane se najron me chamka jati hai
Kya tumne dekha hai kabhi woh masum si hansi?
Jo purani yaadon ko sunehera kar jaati hai
Choti choti batoon pe ek duje ko satana
Jhot mut ka roothna karke koi bahana
Bada hasin hota hai woh chahat ka zamana
Uski to har ada kar deta hai deewana
Tumne dekh hai kabhi woh maasum si hansi?
Jisko dil main liye ek ladki kai khwab sajati hai
Kya tumne dekha hai kabhi woh maasum si hansi??
Jo kisi ke dil main pyar ke deep jalati hai..
Gar dekha ho kahin woh maasum si hansi.
to mere dost mujhpe ek ehsaan kar jana
zindagi main jab bhi kisi se milo
use ek maasum hansi ka taufa de aana
~Ani~
3 comments:
Good flow of thoughts and nicely articulated .Keep up the gud wrk ...
Masum Hasi in snap really touches the heart....
Maula se mujhe shikayat hai,
Kyun nahin uski sab pe barabar inyayat hai !!
I wish i could write like u ani........khuda se meri shikayat rahegi.........but then he can not give everything to everyone....god bless u..:))
Can't play wid words like u....but wil only say....a very 'masoom' sa poem, wid masoom words n lines and a very masoom si pic too to add to all those :)
Post a Comment