Thursday, April 10, 2008

Ek Masiha

woh aaya hawa ke jhaunke ki tarah ,
aur gujar gaya
waqt ka hasin lamha tha,
jo dil me thehar gaya

sadgi usme thi phoolon ki
rang sapnon ka chadha tha
berang jindagi me aakar ,
umeedon ke rang bikher gaya

achi achi batein sikhata tha
dard me bhi muskurata tha
khuda ka nek banda tha
har taraf khusiyan bikher gaya

na uske aane ki khabr hoti thi
na kahin jane ka thikana
hairaan kardeta tha mujhe
jindagi ke har muskil mod pe uska miljana
ek pal ke liye jindagi me aakar
umra bhar ka sabak dekar gaya

~Ani~

1 comment:

Ashish kumar Tripathi said...

Hope you will get back your masiha

Wo kehte hae na ..ki zindagi ke har mood par masiha milta hae ..bas usese pehchane ki der hae ....

Life is big teacher ..Learnt it , nd Move on ......