Saturday, March 29, 2008

Umeed


Umeed phir bhi hai is bedard jamane se
Jo chot pahunchata hai mujhe har ek bahne se
Kya samjhega koi yeh phasana sunane se
Ke dard kum nahin hota askon ko bahane se..

Jo tut raha hai mere sapno ka mahal hai
Mere rab tu bata kyon har bar tut ta mera dil hai
Koi gair hota to sikayat kar bhi leti
Par apnon se to iltaja karna bhi muskil hai
Ke sukun is dil ko to na aayega apnon pe elzaam lagane se..

Sab khus rahein sada yeh dua karti hun
Kisiki khusi ko meri najar na lagjaye isiliye darti hun
Nasib yeh mera hai jamane ki khata kya hai
Ke nasib to badla nahin ja sakta hathon ki lakeeron ko mitane se..

Jine ki aas liye jiti hun,ek ajab si pyas liya jiti hun
Sayad miljaye mujhe is dard ki dawa,uski talsh liye jiti hun
Ke jina koi chod to nahin deta ek do thokar khane se...

~Ani~

3 comments:

Vaibhav said...

Didi... u rock

Unknown said...

words from the bottom of ur heart
echoes of silence
silence is whispering
ur hearts pain.....

SPLENDID........ :D

Pranav Ravani said...

na samaj paya hai koi tumhare is dard ko,
hasi ke piche chhipi is khamoshi ko;
shayad dava to nhi, par salaam deta hu me tumhari is umeed ko.. :)


a very good poem, ani.
don't give up writing yaar..
GOD BLESS YOU !!! :)