Wednesday, April 30, 2008

Zamana Kharap Hai

aaj ke is kaliyug me
jeena to jaise ek shraap hai
har koi har baat pe bole
Zamana hi karab hai

jab kiya tha padhna suru
pehli seekh thi maa ,baap se uncha guru
padhne ke liye jab school me aayi
masterji ne nayi paath padhai
bole gar ache number lana chaho
mere paas tution ko aao
sunkar mera maatha ghuma
school to suna tha,'tution' naam pehli baar tha suna
mera to bharam tha tuta,
pehli seekh thi woh bhi nikla jhuta
apne badon se pucha to bole
Duniya ki is andhadhuni me
tere sawal ka na koi jawab hai,
kya bhala hum kar sakte hain
yeh zamana hi kharab hai

ek din raste me ladkon ne cheda
mujhme gussa aur dukh jaga thoda
soch rahi thi kuch kar jaun
inko jara me sabak seekhaun
itne me ek mausi aayi
bade pyar se mujhko samjhaii
beti apne gusse pe kabu paao
thodi si to akal lagao
kyon bhala inse ladti ho
bekar ke jhamelon me ,kyon padti ho
aaj kal ke duniya me
yeh batein kafi aam hai
kya bhala hum kar sakte hain
yeh zamana hi kharab hai

soch rahi thi me thaki haari
aakhir kis ki hai jimmedari
kaun hai jo aage aayega
is chalan me parivartan kaun layega
itne me ek awaaj hai aayi
piche kahdi thi meri parchai
has kar boli kya karti ho
tum bhi to age aane se darti ho
dusron pe na iljaam lagao
kuch karna hai to khud karke dikhao
jo bhi yahan ho raha hai
uske jimmedar khud aap hain
chodo bhi har baat pe kehna
ke zamana yeh kharab hai
~Ani~

Saturday, April 19, 2008

Zindagi

mujhe jis ki talash thi,

jo kabhi na mujse durr hui

na hi mere paas thi

usi ka naam to tha "Zindagi"

har mod pe dhunda jisse

woh aankhmi choli khelti hui

mere samne se gujari gayi

usi ka naam to tha "Zindagi "

kaid karna chaha jab bhi

woh mere band muthi se

ret banke phisal gayi

usi ka naam to tha "zindagi"


pehcahn ne ki koshis ki magar

badlte mausomon ki tarah

apne rang jo badalti gayi

usi ka naam to tha "Zindagi"

mujhe jisse bepanah pyar tha

jo har ghadi mere aarjoo me thi

aaj duaon se bhi nikal gayi

haan usi ka naam to tha "Zindagi"

~Ani~

Thursday, April 10, 2008

Ek Masiha

woh aaya hawa ke jhaunke ki tarah ,
aur gujar gaya
waqt ka hasin lamha tha,
jo dil me thehar gaya

sadgi usme thi phoolon ki
rang sapnon ka chadha tha
berang jindagi me aakar ,
umeedon ke rang bikher gaya

achi achi batein sikhata tha
dard me bhi muskurata tha
khuda ka nek banda tha
har taraf khusiyan bikher gaya

na uske aane ki khabr hoti thi
na kahin jane ka thikana
hairaan kardeta tha mujhe
jindagi ke har muskil mod pe uska miljana
ek pal ke liye jindagi me aakar
umra bhar ka sabak dekar gaya

~Ani~

Friday, April 4, 2008

Ek Khat



kuch khwaishein,kuch fariyadien,

kuch apne iljaam likhun

gar ezazzat de khuda ,

to ek khat me tere naam likhun

tune jindagi jine ke liye bheja mujhe

me bas jinda rehne ki adakari seekhi,

tu kahe to aaj khud ko me baimaan likhun

mana nadan hun galti ho gayi hogi mujhese

tu khuda hoke bhi tere pyar me kami mehsush hui ,

tu bata mai kis lafz me tujhe nadan likhun

kabhi alla,kabhi iswar,kabhi jesus phukarte hain tumhe

ek roop sau naam se mashoor hone wale,

soch me hun ke liphafe pe me kiska naam likhun

~Ani~

Thursday, April 3, 2008

Kya Kahein

Kya kahein zindagi me kya dekha
Na kuch bhala , na kuch bura dekha

Jo hath me khanjar liye kar chala tha mujhpe bwar pe bwar
usi shakhs ko mere liye mangte hue dua dekha

kabhi gir gir ke sambhle to kabhi sambhal sambhal ke gir gaye
log naam dete hain kisko "tajurbaa" dekha

maut ke baad tan ko jalate hai yahan
Jindagi ke aag me jalte hue rooh ko sada dekha

aankhon me dard ke moti,hoton pe umeed ki hasi,
fizaon me achanak baharon ka ada dekha

sau dard ,sau jhamele ,phir bhi jine ki hai chah
chadh ke na utarne wala jindagi ka nasha dekha

ache bure ka fark bhala hum kaise karte
har sakhs me bas tujhko e- khuda dekha
~Ani~

Wednesday, April 2, 2008

Dua




Har ghadai har waqt ek hi dua maangti hun

ek tere siva ,tujhse e-khuda , me aur kuch kahan maangti hun



suna hai tu har dil pe raj karta hai..

me bas tere dil me apne liye thodi si jagah maangti hun

ek tere siva...



Itni badi hai duniya sau tarah ke log hain isme..

is bhari duniya me se apne liye , ek sakhsh tujhsa maangti hun

ek tere siva...


chotasa dil hai mera, choti choti hai khwaishein isme

tere is bade se jahan me , apna ek chota sa aasiyan maangti hun

ek tere siva...

~Ani~