Tuesday, May 6, 2008

woh na samjhenge unke bas ki baat nahi

jo haske todte hain dil aur kehte hain bhul hui anjane me



dard sehne ki aadat si pad gayi hai sayad

ab to majja hamko bhi aane laga hai chot khake muskurane me


tamanna -e-jindagi kisse hai doston

ham to maut maanga karte hain har ghadi duaon me
~Ani~

Gam Ka Andhera

Yun gamon ne mujhe charon taraf se ghera hai
lagta hai jaise har taraf andhera hi andhera hai
khusi ki ek pal hi hai mujhe talash
najane kahan par woh savera hai

yeh na samjho jindagi ke rahon me machal jaungi
thoda waqt do mujhe ,me khud hi sambhal jaungi
bahalene do askon ko abhi in aankhon se
ke ghav yeh bada hi gehra hai
~Ani~